Ishtiaq Ahmad Khan is a Trainer, Mentor, Web Developer and Graphics Designer at MASIA Institute. This motivational video is from Certificate Awarding Ceremony of MASIA Institute on 22-Feb-2020 at Punjab College Auditorium in Commercial Market Rawalpindi.
Masia Institute ko aaj 12 saal mukamal ho chuke hain aur kam o besh itne he certificate ceremonies ka inaqad kiya. Bahut sare log hamre saath team ka hissa rahe in 12 saalo main bahut se students ne yahan se apne professional technical life ka start liya aur aaj unh ko achi post per dekh ker aur hamre bahut sare students apny software houses own kerty hain un ko ak kamyab practical life guzarta hoe dekh ker bahut khushi hoti hai. Hum log degree completion tak pahunch jate hain even degree complete karne ke baad bhi zehan main yahi sawal ghoom raha hota hai ke hum ne karna kya hai kyunke asoolen hona ye chae ta ke degree start karne se pahle hume clear ho wazeh ho ke hum ne agay kiya karna hai , hum degree complete karne ke baad bhi yahi souch rahe hote hai. Es ke baray main kuch tips share karna chahon ga ke phale to ye baat ap logon ko samajni hai understand karni hai ke Allah Taala ne har insan ko unique banaya hai ap mein se har insan dosre insan se unique hai ap ke sath baitha howa shakhs ap se unique hai ap mein koi asi quality zaroor mojood hai ap ke marks ap ko define nahi karte even ap 50% marks leyte ho ya ap 95% marks score karte ho likin ap main koi asi khoobi zaror majood hai jo kisi aur insan main nahi hai to sub se phale ap ne apne woh quality woh talent pehchana hai woh talent pehchanne ke baad usi main ap ne apna career select karna hota hai . Is ki ak misal simple si ye hai keh ak shakhs bahut khamoosh tabiyat ka malik ho aur woh wakalat main apna career start kare ya radio main apne RJ ya koi news reporter ki job as a career apnay to wo bechara sare zindagi tense hee rahe ga ya kisi shakhs ko bolne ka bahut shokh hai woh bolta bahut acha hai likin use koe khamosh rhene wala koi career select kar ke de diya jae to bechara sare zindagi iztarab ka shikaar rahe ga agarche paise kaam le ga, paise kamana koi kamyabi nahi hai, Tu apni personality apne technical skill ko pehchanna bahut zaroori hai aur us ke pehchan ke liye ak bahut hee asan fromula tamam students ke liye hai keh jo kaam ap ko theka dey jo kaam ap ko bore kar de boriyat Allah taala ke bahut bari neamat hai agar is tarah ap dekhe to bahut sare scholars ka mawad ap ko youtube pay bhi miley ga ap dekhay ge ke boriyat Allah ke bahut bari neamat hai ap ka bore hona ye indication hai ke ap ghalat field main kaam kar rahe hain. Jis field ke liye Allah ne ap ko banaya hai us main ap do ghante ki jagah char ghante kaam kare gey, char ghante ki jaga pandra ghante bhi kaam kare gey likin ap ko thakan ka ahsas nahi ho ga ap physically thake geye mentally kabhi bhi nahi thake gey ap ko kaam paise mil rahe hai zaida paise mil rahe hai likin ap ka dil mutmain ho ga ke main whi kar raha houn jis ke liye mujhe banaya geya hai. Tu apna talent pehchana hai, talent pehchanay ke baad jo ap ka agla step ho ga woh hai ke ap usi field main usi field ke experts ke sath internship kare us field ke kisi ustad ke sath shagirdi ikhtiayar kare. Aur apne un ustad se un expert se un ke experience se faida hasal kare. Ak bahut ghalat fehmi jo students main hoti hai ke jab degree complete ho gi tu woh phr practical life ma start kare gey soolh saal taleem sixteen years sometimes eighteen years of education us ke baad training us ki baad internship is competition ke dour main koi ap ka itna intezar nahi karne wala. Ap ne education ke sath sath he practical life start karni hai do ghante ki char ghante ki kisi ki menat kar ke jo field ap ko apne talent ke mutabiq lagte hai us main internship start kare chahay ap ko paid milte ha unpaid milte hai kyun ke internship karna ap ki zaroorat hai ap ke ustad ki zaroorat nahi hai kisi ke sath shagirdi ikhtiayar kare. Aj kisi ak ke ap mureed banae ge kal ko ak hazar ke ap murshad banae ge. Baday buzarg khetay hai ke jis ka koi ustad nahi hota us ka shaitan ustad hota hai tu jab ap apni studies ke sath he apni internship start kare ge kyunke mere sath kuch ase students hain jo abhi bhi Mashallah kafi age ha unho ne second semester main second third semester main internship start ke final semester ma pounchte pounchte wo senior developer thay senior programmers thay Degree complete karne se phale he ap ko apne manzil bohat clear nazar anne lage gee. Ap ko kisi cheez ka intezar nahi hoga logo ko ap ka intezar hoga ke kab yeh degree complete kare aur hamre idare ka hissa banae.